Thursday, July 16, 2009

Rachnaao ka kya

Kehte hai rachnaoo ka kya
Vo to kabhi
Railway station par
To kabhi
Dustbin me janma leti hai

Kabhi chalti bus me
To kabhi
azaad chauraahe pe
Apni kahani bayaa karti hai

Kabhi masoori ki dhundhli
Hawao me
To kabhi
Kargil ki galiyo ko shabdo me
Bayaa karti hai


Rachanaao ka kya
Vo to kavi ke jeevan ke
Har pal me panapti
Aur badhte kadmo ke sath
Palti vistaar paati rehti hai………….

No comments:

Post a Comment