Tuesday, January 26, 2010

Ek Insaa

Ek Dhaage se shuru hua
Ek rassi talak ban gaya
Ek motise shuru hua
Ek maala talak ban gaya

Ye hai ek insaa
Kabhi bhi bana sakta hai
mutthi bhar zamee se
chota sa aasmaa

Apni aashaao ka swami hai
Apni Khwaisho ka dhani hai
Kabhi bhi haar ko jeet me badal sakta hai
Apne vishwas pe vistaar pa sakta hai